wo nahi chahte the hme pr ye bat is dil ne mani wo chhod gaye hume dekr aakho me pani Ye dard mit gaya to phir? Ye zakhm sil gaya to phir…? Bichhar kar sochta hoon main, Wo phir se mil gaya to phir…? Main titliyon k shehar mein, Rahoon to mujh ko fiker hai… Wo phool jo khila nahi, Wo phool khil gaya to phir…? Tujhe bhi kuch nahi mila, Mujhe bhi kuch nahi mila… Tamam umer k liye, Ye dard mil gaya to phir…? Main is liye to aaj tak, Sawal bhi na kar sake… Agar mere sawal ka, Jawab mil gaya to phir…? |
Kab kaun kisi ka hota hai Sub jhootey rishtey naate hain… Sub dil rakhney ki batein hain Sub asal roop chhupate hain… Ikhlaq se khali log yahan Lafzon ke teer chalate hain… I baar nigahon mein aakar Phir saari umar rulate hain… Who jis NE diye hain ashk humein AB us ko bhool hi jaate hain… |
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho is jheel kinaray pal do pal ik khawab ka neela phool khilay wo phol baha dain lehroon main ik rooz kabhi hum sham dhalay is phol k behtay rangoon main jis waqt larazta chand chalay us waqt kahin un aankhoon main is basray pal ki yaad to ho In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho phir chahay omer samander ki her maoj parayshan ho jaye phir chahay aankh darechay say her khawab gurayzaan ho jaye phir chahay phool k chehray ka her dard nomayan ho jaye is jheel kinaray pal do pal wo roop nagar eejad to ho din raat k is aaeynay say wo aks kabhi aazad to ho In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho |
Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati, Yun ghut-ghut k mar jana, hamain manzoor tha laikin, Kisi kam-zarf per zahir na ki majbooriyan hum nay, Hum is mehmil main bus ek baar sach bolay thay, Zabaan per umer bhar mehsoos ki chingariyon ham nay, Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooriyan humne, Chiraghoon ko jalanay main jala ‘ li ungliyan hum nay… |
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye Badi Chot Khai Javani Peh Roye Javani Peh Roye Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala Teri Aarzoo Ne, Hume Mar Dala Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye Badi Chot Khai Javani Peh Roye Javani Peh Roye Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega Jiye To Magar Zindagani Pe Roye Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye Badi Chot Khai Javani Peh Roye |
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi |
Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum Zakham Chupa Ker Bhi Muskarana Kesa Lagta Hai Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai Kahayei Hai Dhoke Mohabaat Main Itne Ke Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai |
Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal, is chaman mein ab apna guzara nahin. baat hoti gulon tak to sehlete hum, ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin. jab gulistan ko khoon ki zarorat padi sab se pehle hamari hee gardan katee, phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman ye hamara chaman hai tumhara nahin. aaj aaye ho aur kal chale jaoge yeh muhabbat ko meri gawara nahin, umr bhar kaa sahara bano to bano chaar din kaa sahara sahara nahin |
Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra… Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra… Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela… Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra… Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain… Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra… Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta… Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra… Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho… Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra… Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per… Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai… To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra… Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna… Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra… |
Kaha tha tum say…mera intezaar na karna dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi ab ki bar tum koi bhi sawal na karna Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna |
Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena |
pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur vo ik aam saa shaKhs us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen |
Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey Mein Ek Mata’a-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey Ma’adoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey |

Custom Search
my
/>
Find Out your way from here...
Wednesday, December 15, 2010
sms ae galib
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment