Monday, December 27, 2010

sms begerat

kai log rahate hai dil me fans ki tarah or jb chahe dil tod dete hai kanch ki tarah ......Taarif to sabhi karte hain mere sms ki, Magar sms ka jawab koi nahi deta,Hum to sabhi ko roz yaad karte hain, Par humein kabhi koi yaad hi nahi karta.  
Zakhm gahare nahi is dil ke, dard mein is kadar mithas na thi. Ye unki hi meherbani hai varna, zindagi is kadar udas na thi
Ajab si bekarari hai, Din bhi bhaari tha raat bhi bhaari hai, Agar mera dil todna hai to shauq se todiye, Kyonki cheez ye hamari nahi tumhari hai.  
Muskurati palko se ashk gir jate hain, aap kya jano kahan se hamare gam ate hain, Aj bhi hum us mod pe khade hai jaha, Apne kaha tha thehro hum abhi aate hain.  
Betab tamanao ki kasak rehne do, Manzil ko pane ki lalak rehne do; Aap bhale hi raho dur nazro se, Par band aankho mein apni jalak rehne do
Duniya badal jayegi, tum n badalna, Mushkilo me ho jab bhi, yad hume kar lena.Mange bhi apse to kya mange? Dena kuch chaho to bas Muskura dena.  
Is kadar na har baat yaron se pucho, jo baat raaz ki ho isharon se pucho, lehro se khelna to samandar ka kaam hai, lagti hai chot kaise kinaro se pucho.  
Milne ki khushi hai ya bichadne ka gam, Aankho me Aansu hai ya udas hai man, kaise kahe, kaise hai (Hum),bas itna samajh lo ki (Tum) bin Akele hai Hum .  
Sun sako to ek kahani hu main. Rakh sako to 1 nishani hu may. Rok na payi jise sari duniya. Woh ek BUND aankh ka PANI hu MAIN...  
Kuch pal hote hai, Kuch pal ke liye,ji le enhe hum her pal ke liye. ye wakt to ret ki tarah fissal jayega,de jayegi yadien umar bhar k liye.  
aankho ki saza tab tak hai jab tak deedar na ho, dil ki saza tab tak hai jab tak yaar na ho, ye zindagi bhi ek saza hai jab tak aapse mulakat na ho.  
Ek pal ka ehsaas bankar aate ho Tum, Dusre hi pal khushbu ki tarah udd jate ho Tum, jaante ho tanhaiyon se darr lagta hai Hume, phir bhi tanha chhod jaate ho
Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain,krte byan to mehfl ko rula dete. 
Baat aisi kaho k jazbaat kam na ho, Khayalat aise hon k kabhi gham na ho, Dil k konne main itni si jagah rakhna, K khaali khaali sa laage jab hum na hon.  
Nazar andaz kaise kare aapko, Nazron main bithaya hai jo aapko, Yaad aane par royien bhi to kaise, darte hai jhuki jo palke to chubhengi aapko!
Mere dil ki yahi aarzo hai sada muskurate raho Fasle kam karo mohabat badhate raho, Raat kaali ho to gum na karna, Ek sitara ban kar duniya may jagmagate rho   
Ashq Mile To Pee Lete Hain, Aap Kahe To Mar Jayen Hum, Aap Kahe To Jee Lete Hain, Hum To Hain Un Phoolon Jaise, Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain.  
jab bhi tanhai ne unko sataya hoga, tab tab unko mera khayal aaya hoga, gum ye nahi hai ki woh bhool gayae humko, gum yeh hai ki jane kiske liye bhulaya hoga!!  
Barsa Do Saare Baadal Suraj Par, Uski Aag Jara Bhi Kam Na Hogi Pila Do Mehkhane Ki Saari Sharab Hum Ko, Gam Ki Aag Jara Bhi Kam Na Hogi  
Rasmo riwajo ki jo parwah karte hai, Pyar mein wo log gunah karte hai, Ishq woh janoon hai jisme diwane, Apni khushi se khud ko tabah karte hain.  
Tum aaye zindgi me kahani bankar, tum aaye zindgi me raat ki chandni bankar, Bassa lete hai jinhe hum aankho me wo aksar nikal jate hai aankho se panni bankar
Tanha ho kabhi to mujhko dhundna, duniya se nahi apne dil se puchna, Aas paas hi kahi basey rahte hain ham, yaadon se nahi, saath guzare lamho se puchna.   
Pyar manga thaa apse, yeh gussa kyu aya hai, mangi thi thodi tanhai, yeh judai ka sama kyu chaya hai
Roothe jo zindagi to mana lenge hum, Mile jo gum to nibha lenge hum, Bus tum rehna saath hamare, Pighalte aansuon mien bhi muskura lenge hum.  
Gam ki aahat bhi na aye tere dar par, pyar ke samndr ka tu bhi ek kinara ho. Kabhi bhul se jo tapke teri aankh se moti, thame wo jo tujhe sabse pyara ho..  
  Khusi KO dhundne SE gam milta hai,YE gam zindagi mein hardam milta hai,jo dil ke sare dard baant le,aisa Pyar zindagi mein kam milta hai.. 
Dil ke jhakhmo ko unse chupana pada, palke bhigi thi par muskurana pada, kaise ulte hain mohabbat ke ye riwaz, Roothna chahte the par unko manana pada
 Dete ho kyun ye dard bus humi ko , kya samjhoge tum in ankho ki nami ko, yun to honge lakho deewane is chand kay, chand kya mehsus karega ek tare ki kami ko.  
Itna jaldi daaman chhod diya, Itna jaldi vaada tod diya, Abhi to zindagi ki sansein hain baaki, Aur aapne abhi se YAAD karna chhod diya.  
Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,Yehi bahut hai ki vo dekh rahe hai kinare se,hum dub rahe hai to koi baat nahi
Najane tumse pyar itna kyun karte hain, Tumhari ek muskan pe hum aaj bhi marte hain, Is pyar ne aisi halat kar di humari, K ab to hum hansne se bhi drte hain  
Ajnabi Ban K Koi Aaya Tha, Aisa Laga Vo Mera Saaya Tha, Log Karte Hain Roshni Ghar Main , Usne To Dil Me Diya Jalaya Tha.....
Mudato bad koi apnasa lgne laga hai Ab unse judai ka dar lagne laga hai Dil ki bekarari har pal beshumr hoti ha Milne se zaida judai dil ke aar paar hoti hai  
sirf chahne se mulakaat nahi hoti, suraj ke saath kabhi raat nahi hoti, hum jinhe chahte hain jaan se jayda, saamne hote hain par baat nahi hoti.   
  Ishq wale ankhon se har bat kehte hain, sapno main mile to usko mulaqt kehte hain, asman rota hai jab apni jamen k liye, to ye duniyawale usko barsat kehte hain.    
Na mil payenge is baat ka gam to nhi, Ansoun ki kemat pani se kam to nhi, Tumhe khone k dar se neend ati nhi, Kahin is dar se tumhari bhi ankhen naam to nhi.  
Royengi Ankhen Muskurane k baad, Ayegi raat din dhal janae k baad, Meri Zindagi se jao toh zara mudh kar dekh lena, Shayad Zindagi Na Rahe Tere Jane k Baad.  
Hum to pehle se hi aapke hain sanam, kya zarurat hai hume aazmane ki, yaad na karo to koi gam nahi, par khawahish na karna kabhi bhool jaane ki.  
Tere labo pr khushi ki hsi denge hum, Gumo k pahd ko ret ka dher bna denge hum, Tu sath dene ka vda dede bass, Mut jo ayi tere raste use bhi sene se lga lenge hum

No comments:

Post a Comment

download here

Adbright inline