yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota … ager or jeete rehte tu yehi intazar hota kahoon kiss se main k kia hai … shab-e-ghum bori bala hai mujhe kia bora tha marna .. ager aek baar hota yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaa hota .. koei mere dil se poche tere teer neem kash ko yeh khalish kahan se hoti .. ju jiger k paar hota tere wade per jiye hum.. tu yeh jaan jhot jana .. k khoshi se mar na jate ager etbaar hota .. yeh na thi humri kissmat k wisaal-e- yaar hota yeh kahan ki dosti hai .. k bane hain dost saqi .. koi chehra saaz hota .. tu yeh na ghumm saath hota |
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga Khuvabon aur Khyaalon Mein Mera hi Chehra Tarasha Ho ga Raah Chaltey jo us ko Mera khyaal Aaya Ho ga Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi Aur na Pa ke Mujhey Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi Tanha Sard Raat Mein Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey Khyaalon hi Khyaalon Mein Haath us ney Mera Thama Ho ga Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga |
jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta bas qadam aur chalne kawasta dekar mujhe rokne nahi deta bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko cho lene ka woh piar se chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina main zinda hon ab tak woh mujhe marne nahi deta |
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya Mehfilon main kahin bhi maza na raha Rakha dil pay pather to khud ko sajaya Baat bay baat apni aahain daba ker Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya Kya muqadar say shikwa kertey rahain Jo qismat main tha wohi kuch to paaya Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya Apnoon nay palat kay daykha tak nahin Ghairon nay aaker galay say lagaaya Acha hua kay raaz khul hi gaya Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya |
Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey bahoun mein apni sama lou mujhey Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey Meri sab say gehri khuwahish hou puri Tum agar pass apnay bula lou mujhey Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey |
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch waqat jo badley to insaan badal jaatey hain kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch |
aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina, Yaad karna bhi usey roo, bhula bhi daina, Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki, Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina, Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin, Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi karna, Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say, Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina, Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin, Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina, Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna, Apnay honay say na honay ka pata bhi dain |
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, Khud bula ker phir sataya hai kisi ne, Jab tak jali hai shama jalta raha parwana, Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne Armaan mere raiza raiza hogaye hain, Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne, Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga, Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne, Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko, Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne, Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha Us ko bhi tarpaya hai kisi ne, |
Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne Apney askhon ko palkon pe sitara karkey Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka Aur kuch roz tere saath guzara karkey Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey |
Wafa ruswa nahi karna… Suno aisa nahi karna Mai pehle hi akela hu Muje tanha nhi karna, Judai aa b jaye to Ye dil chota nhi karna Bohat musroof ho jana Muje socha nhi karna, Barosa b zarori hai Magar sub ka nhi karna Muqadar to muqadar hai kabi shikwa nahi karna Meri takmeel tum se hai muje adha ni karna suno asa soocha nahi kerna. |
Saath chalne main jo maza hota Woh humain bhi kabhi mila hota Yeh hi hasrat rahi hamari faqat Saath apne koi chala hota Hum bhatakte rahe the raahon mein koi rasta pata chala hota Thaam leta humain bhi barh ke koi Haath hum ko koi mila hota Hum ulajhte nahi zamane se Ek jo Humsafar mera hota Hum na thakte safar mein gar Saath apne koi chala hota |
Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega |
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa har aik cheez hai apni jagha thikane pe kaii dino se shikayat nahi zamane se Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai tere bagair jahaan main koi kami si thi bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main main aik koi hui mouj hoon, tu sahil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai tere jamaal se roshan hai kainaat meri meri talash teri dilkashi rahe baki khuda kare k yeh deewangi rahe baki teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai |

Custom Search
my
/>
Find Out your way from here...
Wednesday, December 15, 2010
sms gazal
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment