koi pyar kre unhe or unka ikrar na aye to kya kre unhe bina dekhe is dil kokarar na aye to kya kre Laakh miltay hain hum bahanay say Pyar chupta nahi chupanay say Ummar guzari hay dar-badar apni Hum hillay thay zara thikanay say Aik jadu sa kar gaye mujh par Kuch makaan thay puranay say Baat karta raha main us say magar Baat banti nahi bana’nay say Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho Tum nikalo humain fasanay say Meri chahat main bhi woh baat na thi Woh bhi rukhsat hua bahanay say Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay Teer palta agar nishanay say…!!! |
Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo, Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan, Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo.. |
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi |
Hazar rahen mud ke dekhien, Kahien se koi sada na ayie Badi wafa se nibhayie tum ne, Humari thodisi Bewafaie Jahan se tum mod mud gaye the, ye mod ab bhi yahie pade hain Hum apne pairon me jane kitne, Bhanwar lapete huwe khade hain Kahien kisi roz yun bhi hoga, humari halat tumhari hogi Jo rat humne guzari mar k, wo rat tumne guzari hoti Tumhe ye zid hai k hum bulate, hume ummis k wo pukaren Hai naam honton pe ab bhi lekin, Aawaz me pad gayie dararen |
KOI TO HOTA…. mai jis k dil ki kitaab benta mai jis ki chahet ka khawab benta mai hijr k mosem ki lembi raaton mein yaad ben ker azaab benta KOI TO HOTA….. jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota mai rooth jata manata mujh ko k chahe mera kasoor hota KOI TO HOTA…. mai jis k itna kareeb hota na paas koi rakeeb hota mai itna uus ka habeeb hota ye silsila bhi ajeeb hota KOI TO HOTA…….. |
Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga Naraz agar wo hain Mere Nasheman se Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga |
Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey! Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad, Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye Hogay Rukhsat Dua’ayen De Ke Parwana Mujhey |
har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka, har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay, Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna, Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay, Khat layain na layain tera hum naama bron ko, Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay, Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko, Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay, Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi, Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay, Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka, Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay, Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan, Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay |
Har ek lamha naya ik imtehan hai, bohut na-meharban yeh aasman hai, Dilon per barf girti ja rahi hai, Badan ka tajziya bhi raiga hai, main us say baat karna chahti hon, batao to sahi woh ab kahan hai, Anaa ki rait shamil ho gayai hai, Hawa say guftugu ab raigan hai, Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha, Meri janib say itna badguman hai… |
usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia, kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia, Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai, Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia, Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga, Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia, Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay, Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia, Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker, Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia, Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay, Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia |
Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin |
AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain Dard Seene Main Chupa Lete Hain Dil Ki Mehfil Main Ujaalon K Liye Yaad Ki Shama Jala Lete Hain Jalte Mausum Main Bhe Ye Deewane Kuch Haseen Phool Khila Lete Hain Apni Aankhon Ko Bana Ker Ye Zubaan Kitne Afsane Suna Lete Hain Jin Ko Jeena Hai Mohabbat K Liye Apni Hasti Ko Mita Lete Hain AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain Dard Seene Main Chupa Lete Hain |
Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay….. Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay… Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko….. Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay….. Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou… Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay…… Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa… Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay |

Custom Search
my
/>
Find Out your way from here...
Wednesday, December 15, 2010
sms urdu gazal
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment