Friday, November 26, 2010

sms friend ship

This one is dedicated to my friends Kiran, Nandita and Nancy….
Jab jindagi meri kuch rukne lagi thi,
Badte kadam kuch thakne lage the,
Sahara yu dost ka mila mujhko
Ke dosti pe apni gumaan aane laga mujhko.
Kuch chehre jab paraye hone lage the,
Kuch haath chod ke jaane lage the,
Tere haath ne kuch yu thama mujhko
Ke dosti pe apni gumaan aane laga mujhko.
Safar main jab paya akela maine khudko tha,
Shitij pe tara koi na tha raahgir mera,
Kuch yu humsafar ban gaye tum mere,
Ke dosti pe apni gumaan aane laga mujhko.
Ab na kissi saathi ki khwahish hogi
Ke dost tere jaisa jo mil gaya hai mujhko,
Kuch yu khili hai mushkilo main dosti apni
Ke dosti pe apni gumaan aane laga mujhko.
Ab na aanjam ki fikr hai mujhko,
Nahi raah ki mushkilo ka koi dar hai,
Baantein kuch pal saath hum raah main istarah
Ke duniya kare gumaan dosti pe anpni…….
Kyo patjhar me shavan ka entajar karta hu,
Kyo her ghadi sirf tera entajar karta hu,
Tu koin hai ?, kaha hai? in sab se anajan hu,
Kya teri tarah mai bhi tera araman hu
TU na aa per aane ka vaada to kar
Meri andheri zindagi me thoda ujala to kar,
Teri aas me na jane kab se shoya nahi,
Teri yaad na jane kitani raate raoya
Ab apani khusi se mera gum aadha to kar
Tu na aa magar aane ka vaada to kar
1. Ek hansi jo hansa de,
Ek aansu jo rula de,
Ek aarzu jo jaga de,
Ek chahat jo samajh le,
Har aahat jo jaan le,
Usi rishtey ka nam dosti hain.
2. Beshak kuch waqt ka intezaar mila humko,
Par khuda se badhkar yaar mila humko,
Na rahi tammana kisi jannat ki,
Ae dost teri dosti se vo pyar mila humko.
3.Tera khayal dil se na jaye to kya karu,
Reh reh kar teri yaad aye to kya karu,
Kehte hai khwaabon mein hogi mulakat,
Raat bhar neend hi na aye to kya kaaru.
4. Dil mein tumhare apni kami chod jayenge,
Aankho mein aansuon ki nami chod jayenge,
Yaad rakhna mujhe dhoondhte firoge ek din,
Jab hum ye zindagi chod jayenge.
5. Aapko lagta hai ki humne apko bhula rakha hai,
Aap nahi jaante dil mein kahi chupa rakha hai,
Dekh na le in aankho mein apko koi,
Isliye palko ko bhi chupa rakha hai.
Bole wo dosti,chup rahe wo pyar;
milaye wo dosti,juda karaye wo pyar ;
hasaye Wo dosti,rulayeWo pyar;
phirBhi log dosti chodkar kyo karte hai pyar.
………… ……… ……… ………
todne ke liye wada kiya nahi jata.
soch samajkar pyar kiya nahi jata.
yakin karo pyar ho ya dosti ,
agar dil se ki ho toh uske bina ek pal bhi jiya nahi jata
………… ……… ……… ………
Jaam tutne ka bahana na kar,
Hum to teri aakhon se pee lenge,
Tu mat aa lakin aane ka wada to kar,
Hum tere intjar mein jee lenge…
………… ……… ……… ………
SAPNO KI DUNIA SAJA RAKHI HAI,
MOHABAT KI JYOTI JALA RAKHI HAI,
MERE DIL KO AB KOI NHI BACHA SAKTA,
PATHAR DIL SE PYR KI UMEED JO LAGA RAKHI HAI.
Har raat chandni raat nahi hoti,
har dost me aap jaisi baat nahi hoti,
na jaane khuda kaun si saza de raha hai,
jo aaj kal aapse baat nahi hoti…
Hamari us sitare se dosti ho gai
Jisko Soch-soch k savera ho jaye,
Socha ki chura loon use aasman se,
Par darr hai ki us jagah andhera na ho jaye.
Rahe door to aapki yaad aayi,
Khai thokar to aapki yaad aayi,
Bure ins an to mile jindagi me bahut, lekin?
Jab ache insaan ki baat aayi to aapki yaad aayi.
Kia khabar tum ko dosti kia hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass say dekho tou sarab bhi hai
Dukh milnay pe ye azab bhi hai
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon tou maya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai
Dil say nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh lay tou
Piyar ki inteha bhi dosti hai ………

No comments:

Post a Comment

download here

Adbright inline