Unko dekha meri ankhon ne,
apni ankhon pe muze pyar aaya!
In ankho ne bhi dekho rasm-e-wafa nibhai,
jab bhi band ki unka deedar kara
Tere Pyar Ki Barish Mein Nahane Ko Ji Chahta Hai,
Teri Banhon Ki Garmi Mein Phighal Jane Ko Ji Chahta Hai,
Tere Ishq Ke Gehre Sagar Mein Doob Jane Ko Ji Chahta Hai,
Teri Jheel Si Kaali Aankhon Mein Sama Jane Ko Ji Chahta Hai,
Chand Se Tere Chehre Pe Fida Ho Jane Ko Ji Chahta Hai,
Mohabbat Mein Teri Hadh Se Guzar Jane Ko Ji Chahta Hai,
Teri Shehed Baatein Mere Dil Ko Bohat Lubhati Hain,
Bheegi Si Muskaan Teri Deewana Mujhe Kar Jaati Hain,
Ghussa Bhi Tera Hai Pyaar Bhara Saari Duniya Se Judaa,
Anokhi Teri Adaon Pe Marr Mitne Ko Ji Chahta Hai,
Maanga Hai Tujhe Khuda Se Bare Sajdon Ke Baad,
KamZarf Zamane Ki Nazron Se Tujhe Chupa Lene Ko Ji Chahta Hai.
—————————————————————
Hi Dear Friends,
I am up with a Romantic one this time… You judge How
was I? I’ll wait for your comments…:) T
Hi,
This is in reply to ‘pyar karne waale ka haal aisa hota hai…..’
`
haan…pyar karne waale ka haal aisa hota hai….
pyar zaroor karna….!
haan…pyar karne wale judai ke waqt gum-sum ho jaate hain…
magar milan ka ek kshan bhi unki zindagi sanwaar deta hai….
pyar zaroor karna…!
haan…pyar me aise jhagre hote hain…..
magar sukh-dukh se hi to duniya tiki hai….roothe huwe ko manana hi to pyar
hai….
pyar zaroor karna…!
haan….pyar me aise rona parta hai….
magar ye ansu hi to pyar ki ummeed hai….jeene ki shakti hai….vishwas
hai…..
pyar zaroor karna….!!
kash ab bhi koi Unhe ye sab bata de to shayad…
VO BHI PYAR KAR BAITHE !!
`
Dil Aapko Dete To De Diya,
Wapas Lete To Le Liya,
Ek Pal Ke Liye Aapke Paas Raha,
Par Charon Aur Se Kaat Ke Diya…
`
Ek Shama Andhere Mein Jalaye Rakhiye,
Subah Honeka Mahol Banaye Rakhiye,
Jinke Haathon Humne Khaye The Zakham,
Wohi Kehte Hai Zakhmo Ko Chhupaye Rakhiye…
`
Haqeeqat Pehchan Lo Bichhad Jane Se Pehle,
Meri Sun Lo Apni Sunane Se Pehle,
Ye Soch Lena Hamein Bhul Jane Se Pehle,
Bahut Roti Hai Ye Aankhein Muskurane Se Pehle…
`
Pyaar Jo Kisise Karoge To Ruswayi Hi Milegi,
Wafa Jitni Bhi Karoge Burayi Hi Milegi,
Chahe Kisiko Kitna Bhi Apna Bana Lo,
Jab Bhi Aankh Khulegi Tanhayi Hi Milegi…
`
Kabhi Tum Bhi Humse Baat Kar Liya Karo,
Milneki Fariyaad Kar Liya Karo,
Ek Hum Hai Jo Har Baar Shuruat Karte Hai,
Kabhi Tum Bhi Humse Pehle Yaad Kar Liya Karo…
`
Din Tere Khayal Mein Guzar Jaata Hai,
Raat Mein Bhi Tera Khayal Aata Hai,
Kabhi Kabhi Khayal Is Kadar Ubhar Jata Hai,
Aaine Mein Bhi Tera Chehra Nazar Aata Hai…
`
Kuch Mithe Pal Yaad Aate Hai,
Palkon Par Aansu Chhod Jaate Hai,
Kal Koi Mile To Hamein Na Bhul Jana,
Dosti Ke Rishte Zindagi Bhar Kaam Aate Hai…
`
Zindagi Mein Kabhi Tension Mat Lena,
Bindaas Hoke I LOVE YOU Kehna,
Agar Rose Ke Badle Sandal Mile Kehna
Pyaari Behna Sada Khush Rehna…
`
Hans kar wo jo gham datey hain,
Zaher mein thora sa pyar mila datey hain
Jab bhi naam ata hai un k dewano ka
Log meri taraf unglian utha datey hain..
`
Har rasta ik safar chahta hai.
Har musafir ik hamsafar chahta hai.
Jasiy chahti hai chandni chand ko.
Koi hai jo aapko is qadar chahta hai.
Tere Bina hum jeena bhool jaate hain…
Zakhmon ko seena bhool jate hain..
Tu zindagi main sabse azeez hai hamain..
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.
`
Kuch Din Pehle Mohabbat Ko Mohabbat Samjha Hum Ne..
Muhabbat Hui Mohabbat Ko Apna Samjha Hum Ne..
Mohabbat Main Is Qadar Madhosh Ho Gaye..
Is Ki Bewafai Ko Wafa Samjha Hum Ne..
Zakham Is Qadar Mohabbat Ne Diye..
In Zakhmo Ko Phool Samjha Hum Ne..
Mohabbat Ki Chikh O Pukaar Is Qadar Thi..
Ass Pass Ke Logo Ki Roone Ko Asna Samjha Hum Ne..
Mohabbat Ki Shidat Main Aankhen Iskadar Chandiya Gaye..
Har Chamakti Hui Chiz Ko Sona Samjha Hum Ne..
Dewaana Is Qadar Mohabbat Ne Bannaya Humko..
Apno Ko Begana Aur Un Ko Apna Samjha Hum Ne..
Mohabbat Ki Yaadein Dil Par Kuch Yon Naksh Kar Gaye..
Bhulane Ki Khoshish Main Khod Ko Hi Bhula Diya Hum Ne..
Bewafa se wafa kar baithe,
Apni hi wafa par daag laga baithe,
Zamana toh kehta raha,
Ishq na karna,
Par hum apni wafa ko,
Bewafai ka naam de baithe,
Wafa ki har kasam nibathe rahe,
Par bewafai ki har kasam thod baithe,
Ab log hamari wafa par hasa karte hai,
Humne jo wafa nibayi,
Us par shak kiya karte hai,
Zindagi ka har panna,
Hamari tanhayee ka hisaab detha hai,
Humne jo khwaab dekhe thae,
Unki bhi keemat kehtha hai,
Hamari wafa par,
Mehfilo mein log hasa karte hai,
Humne jo gum dekhe hai,
Unhe us bewafai ki keemat bathathe hai,
Na jaane log bewafai kar kaise jeethe hai,
Hum toh wafa karke bhi,
Har saas ek nayi maut marte hai
(- – Avinash – -)
Pehle main chain se soya karta tha,
Ab raaton ko karwatein badalne laga hoon
Pehle main sabse bohat baatein kiya karta tha,
Ab chup chaap rehne laga hoon.
Pehle main mehfilon main raha karta tha,
Ab akela rehne laga hoon.
Us se mulaqaat hone ke baad,
Jaane kyun aapke ke baare main hi sochne laga hoon.
Zindagi ke safar main akele chalte chalte achanak,
Aapke ke saath chalne ki khuwahish karne laga hoon
Bhale hi aap mujh se door hai par,
Har gharri aap ki aahat mehsoos karne laga hoon.
Pehle main pyaar ki baatein bilkul nahi samajhta tha,
Par ab woh sab samjhne laga hoon.
Main apni khud ki haalat pe hairaan hoon,
Main aisa kyun hone laga hoon?
Mujhe aisa lagta hai keeeeeeee..
Shaayad main aap se pyaar karne laga hoon.
Dil ki awaaz ko izhaar kehte hai,
Jhuki nigaah ko ikaraar kehte hai,
Sirf paane ka naam ishq nahin hota,
Kuch khone ko bhi pyaar kehte hai..
Tumhari is ada ka kya jawab du,
Apne dost ko kya uphar du,
Koi acha sa phool hota to mali se mangwate,
Jo khud gulab hai usko kya gulab du…
Rab ne jab tujhe banaya hoga
Ek surur uske dil mein aya hoga,
Sochta hoga kya doonga tohfe mein tujhe,
Tab usne mujhe banaya hoga.
Kaash ham SMS hote,
Ek click mein tumhare paas hote,
Bhale tum hame delete kar dete,
Par kuch pal ke liye ham tumhara ehsas to hote…!
Tanhaion me unko hi yaad karte hain,
Wo salamt rahe yahi fariyad karte hai,
Ham unke hi mohabbt ka intzar karte hai,
Unko kya pata hum unse kitna pyaar karte hai.
Ek din hamare annsoon humse pooch baithe,
Humey roz -roz kyon bulate ho,
Humne kaha hum yaad to unhe karte hain
Tum kyon chale aate ho.
Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai
Kismat par aitbar kisko hai,
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
Kuch majburian hain mere dost,
Warna judai se pyaar kisko hai
Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga,
Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein,
Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein,
Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein.
Darte hai aag se kahi jal na jaye
Darte hai khwab se kahin toot na jaye
Lekin sabse ziyada darte hai aapse
Kahin aap hume bhool na jaye
No comments:
Post a Comment